Get Free Unlimited Web Hosting

Get Free Unlimited Web Hosting


Welcome friends, bhot time bad Main ek aur post le kar aaya hu jis mein Main aapko unlimited web hosting kaise le sakta hu yeah batayunga. Iss topic par pehle Maine ek post likhe the jisko aap visit kar sakte hain. Par us mein ek bar mein sirf 3 websites ko he host kar sakte the. Isliye Iss post mein aapko aise website ke bare mein batayunga jis mein without any limitations unlimited websites ko host kiya ja sakta hain.

Sabse pehle aapko iss website ka name bata deta hu. Toh iss website ka name hain 'Pro Free Host'. Yeah totally free hain iss website mein koi bhi hidden cost nahi lagta. Niche link par click kar aap website ko open kar sakte hain.

How to Set Up Free Hosting ?
Sabse pehle 'create account' button par click kare aur phir niche diye gaye instruction ko follow kare :-
Step 1: Account create karne ke bad website mein log in kar le.
Step 2: 'Create new account' par click kare.
Step 3: Ab aap apni website ke liye name fill kare aur dropdown menu se sub-domain bhi select kar le.

Step 4: Yeaha par aap custom domain ka bhi use kar sakte hain.

Ab hamara hosting acount create ho gaya hain. Iss tarah se ham unlimited account create kar sakte hain aur unlimited websites ko host kar sakte hain. Isshe set up hone ke liye thoda sa time lagta hain isliye aapko thoda sa wait karna hoga phir aap isko manage kar sakte hain.


Manage button par click kar ke aap website ka overview check kar sakte hain. Aapko yeah par FTP account ki information bhi mil jayage. DNS aur password jaise option bhi aap yeaha he mil jayange. Isske uper aapko 2 options aur mil jayange jis se aap cPanel aur website builder ka use kar sakte hain.

Highlighted Features of Pro Free Host :-
Pro free host apne user ko bhot sare services provide karte hain jo ki koi bhi free hosting provider nahi karta hoga. Apne kuch features ko pro free host ne landing page par mention kar rakha hain aur us mein se kuch niche diye hue hain :-

Unlimited Diskspace: Pro free host free hosting mein bhi unlimited disk space provide karte hain. Jis mein ham apni website mein large amount mein data aur files ko store kar sakte hain.

Unlimited Bandwidth: Unlimited bandwidth se hamare website se unlimited data transter ho sakta hain. Data sharing aur website access karne mein kise bhi tarah ki problem nahi hoge.

MySQL Databases: Easy Control Panel: Free cPanel ka use karke ham apni website ko bhot he aasani se manage kar sakte hain.

Website Builder: Pro free host ka website builder hame website ko build karne mein help karta hain.

100% Free: Yeah totally free service hain. Issme koi bhi charge nahi lagta hain.

No Hidden Costs: Issme koi bhi hidden cost ya maintenance cost nahi lagta.

Free Subdomains: Issme unlimited free sub-domains bhi milte hain.


99.9% Uptime: Pro free host user ko 99% ka up-time provice karte hain. Isske down hone ke chances bhot he kam hain.


Basic Features of Pro Free Host :-
Easy To Use Control Panel: Yeah website hame free cPanel provide karte hain. Jis ke help se ham apni website ko aasani se manage kar sakte hain.

One Click Installer: Yeah website softaculous script installer bhi provide karte hain. Jis se more than 300 scripts ko install kiya ja sakta hain. e.g. Wordpress, Drupal, Joomla etc...

Support: Pro free host ke support forum se kise bhi hosting related question ya problem ka solution bhi mil sakta hain.

Branded Emails: Iss ke help se ham branded emails bhi create kar sakte hain. jisme user name aur domain name hoga. Isska sabse jayda use bussiness websites mein kiya jata hain.

No Forced Ads: Most of the free hosting provider website mein companies apni ads bhi use karte hain. But pro free host kise bhi tarah ki ads ke liye force nahi karte hain.


Instant Setup: Issme kise bhi tarah ki credit card details store nahi karne hote hain. Aur na he personal information store karna hote hain. Jis se issme setup bhot he jaldi aur aasani se ho jata hain.

Other Posts :-

Buy Cheapest Web Hosting in Rs. 20

How to Get Free Domain Name

How to Get Free and Unlimited Web Hosting

India's Best Web Hosting in Rs. 40

Post a Comment