How to Install Dolby in PC

How to Install Dolby in PC


Hi Friends, jab bhi aap apne PC ko reset karte hain ya new windows install karte hain toh kabhe kabhe aapke pc mein sound ki problem aati hain. koi bhi sound nahi aati hain. Yeah problem ko bhi sound device install kar ke solve ki ja sakte hain. Iss post mein main aapko Dolby install kar ke yeah problem install karna batayange. Dolby sound install karne ke liye pehle aapko dolby ka package download karna hoga jo aap link par click kar ke download kar sakte hain. link aapko niche mil jayage.

Iss link se download karne par aapko yeah rar file mein milage jisko aap extract kar le. Iss file ka use kar aap Dolby ke 2 version mein se kise ko bhi download kar sakte hain :-
  • Dolby Home Theater v4
  • Dolby Advanced Audio v2
Dono ki installing process different hain isliye Maine dono ki installation process explain ki hain. Aapko jo bhi install karna ho uske steps ko follow kare.



How to Install Dolby Advanced Audio v2 ?
Dolby Advance Audio v2 ko install karne ke liye in steps ko follow kare:-
Step 1: Sabse pehle aapko drive file install karna hoga means apne architecture ki according "Dolby PCEE Drivers" file ko select kare.
Step 2: Advanced Audio v2 ko install karne ke liye "Daa (Release)" ko select kar drivers ko install kare.
Step 3: Permissions ko allow kar de.
Step 4: Ab aap Dolby Advanced Audio v2 ke installer file ko open kare.
Step 5: location ko select kar ke install kar le. Software install ho jayaga.


How to Install Dolby Home Theater v4 ?
Dolby Home Theater install karne ke liye process me thoda sa difference hain. isliye agar aap Dolby Home theater v4 install karna chate hain toh yeah process ko follow kare :-
Step 1: Iss ke liye bhi pehle Driver file ko install karna hoga. Isliye architecture ki according Driver file ko open kare.
Step 2: Dolby Home Theater v4 ko install karne ke liye "DHT (Release)" ko select kare aur driver ko install kare.
Step 3: Iss process mein aapse permission mange jayange. Aapse jo bhi permission mange jaye usko allow kar de.
Step 4: Driver file install hone ke bad Home Theater installer ko open kare.
Step 5: location de ki aapko kaha par isko install karna hain. aur next per click kar ke install kar le.

Iss tarah aap Advanced Audio v2 aur Home Theater v4 mein se kise ko bhi install kar sakte hain. Aur install karne ke bad apne PC ko restart kare jis se yeah aachi tarah se system mein kaam kar paye. Iss ke bad aapke computer mein sabhe tarah ki sound problem solve ho jayange. Agar iss ke bad bhi sound relate koi bhi problem aapko face karna pad raha hain toh comment kar ke bataye ki aapko kis tareh ki problem hain. Ham ushe jaroor solve karange. I Hope iss post se aapki kuch help jaroor hue hogi.

Post a Comment