Difference Between Programming, Scripting and Markup Language

Difference Between Programming, Scripting and Markup Language



Welcome Friends, Yeah puri post Computers language par based hogi. Iss post mein main aapko Porgramming, Scripting aur Markup language mein difference batyunga. High level aur Low level languages kya hote hain. HTML, XML aur XHTML ko bhi Maine iss post me cover kiya hain. Iss artical ko pura padne ke bad ko insabhe mein difference pata chal jayaga. Aur yeah bhi samaj payange ki kon se language kis kaam aate hain.

Programming Language :-
Programming language woh language hain jishe use karke commands aur syntax ki help se software program kiya jata hain. Simple language mein programming language, set of instructions aur code hota hain jis se ham computer ko instruction dete hain ki ham kya karna chate hain. Ham computer ko logic aur instruction dete hain jis se computer kuch task perform karta hain. Aur hame desired output data hain. computer programming language 2 parts mein devided hoti hain. Yeah hain High level language aur Low level language:-

High Level Language: High level language programmers ke liye easy to read aur understandable hote hain. In program ko source code bhi kaha jata hain. Kuch high level languages hain - C, C#, C++, Java. High level programming languages ko pehle meachine level language or binary(0 aur 1) mein convert karne ki jaroorat hote hain. Pehle inhe compiler se compile kiya jata hain. Agar program mein koi bhi error hota hain toh program compile nahi hota hain aur error show karta hain.

Low Level Language: Low level languages jyada machine friendly hote hain. Yeah seedha hardware se interact karte hain. 2 sabse common low level language hain - machine language aur Assembly language.  Machine language likhne mein bhot jyada difficult hote hain. Machine language program binary mein hota hain aur computer par directly execute hota hain. Assembly language ke liye Computer architecture ki aaachi knowledge hona jaroori hain. Assembly language ko Assembler se machine language mein convert kiya jata hain. Assembly language ka sabse jayda use hardware se related apps create karne mein hota hain jaise - operating systems aur drivers.
Royalty Free Image By pexels.com

Scripting Language :-
Apne name jaise he yeah ek script ki tarah hain jo kuch tasks karta hain. Yeah programming language ka comparison mein easy hote hain. Scripting language ki help se kise doosre  program ko control kiya jata hain. Yeah ek language se doosre language ko connect karte hain. Yeah akale work nahi karte hain. Inhe compile nahi kiya jata hain Inhe interpreted ki jaroorat hote hain. Scripting language ka sabse jyada use websites create karne mein kiya jata hain. Server side scripting language mein Perl, PHP, aur Python popular languages hain. Aur JavaScript clint side scripting language ka sabse aacha example hain. Scripting language ka program open source hota hain jis se inhe aasani se edit kiya ja sakta hain. Yeah portable hota means different operating system ke liye. But kise - kise situations mein yeah compile program ke compare mein slow hote hain.

Markup Language :-
Markup language pure tarah se programming language se alag hote hain. Markup language ko programming language nahi kaha ja sakta hain. yeah programming language ke compare mein bhot he easy hote hian. markup language presentational language hote hain. In mein kise bhi tarah ka logic aur algorithm nahi hota. Markup language mein data aur looks ke liye structure taiyar kiya jata hain. For example kise document mein title lists, images, paragraphs etc... ko arrange karna.  Inheaasani se likha aur samjha ja sakta hain. Yeah browser se he interpreted hote hain. Markup language ke most common example hain HTML, XML, XHTML.

HTML: HTML ka full form Hypertext Markup Language hain. Iss ka use web pages ka structure banane mein kiya jata hain. HTML files 2 sectiom mein devided hote hain - Head aur Body. Head section mein titles, metadata etc... hota hain. Aur Body mein woh content hota hian jo hame browser par dekhain deta hain.
Royalty Free Image By pexels.com

XML: XML ka pura name Extensible Markup Language hain. XML tags ka use data ko handle aur store karne mein hota hain. XML data ko completely different platforms mein share karne mein madad karta hain.

XHTML: XHTML ka pura name Extensible Hypertext Markup Language hain. Yeah Language HTML aur XML  dono ke tags ke combination se mil kar bante hain. 

Other Posts :-

What is Android Rooting ?

What is VPN? How does VPN Works?

Fonder/Inventor of Technologies

Full Forms of Technologies

1 Comments

Post a Comment