Everything About Screens That You Should Know
Aapne kahi na kahi screen resolution, HD, Full HD, 4K, 8K, Ultra HD, Pixel, FPS, Hz etc... ke bare mein jaroor suna hoga. Yeah sabhe terms screens se related hain. In sabhe terms mein bhot logo ko confusion hota hain ki yeah kya hain aur kaise kaam karte hain. Iss post mein aapke sare confusion dur ho jayage.
What is Pixel ?
Aapne pehle kabhi na kabhi pixel ke bare mein jaroor suna hoga. Pixel kise bhi screen ke sabse chooti aur sabse pehli unit hoti hain. Yeah har tarah ki screen par hota hain. Pixel kise bhi screen par smallest point(part) hota hain jo light produce karta hain. Computer screen mein koi bhi ek color 3 main colors Red, Green aur Blue se mil kar banta hian. Ek pixel sirf ek color se completely fill(bhara) hota hain. Purane screens mein pixels bhot he kam hone ke karan picture quality kharab hoti the aur koi - koi screen mein toh pixels bhi aasani se dekhai dete the.
What is Resolution ?
Kise bhi screen ke manufacturing ke time physically, screen mein horizontal aur vertically pixels ko mount kiya jata hain. In sabhe pixel count ko us screen ka resolution kaha jata hain. Jitne jyada pixels hote hain utna he aacha resolution hota hain. Isliye pixels ko jayda rakha jata hain jisse hame aachi quality ki media dekhai de na ki pixels dekhe.
What is Frame Per Second (FPS) ?
Frame per second mainly video se related term hain . Ek video kai images se mil kar bane hote hain. Images ko consistently ek ke bad ek dekhaya jata hain jis se hame moving picture dekhai dete hain. For example agar koi video 30 fps mein play hote hain toh woh ek secon mein 30 frames change karte hain.
What is Refresh Rate (Hz) ?
Refresh Rate displays se related terms hain. Refresh rate ki unit Hartz (Hz) hain. Ek display 1 second mein pixels kai bar refresh hote hain jis se colors change hote hain aur video and gaming experince aacha hota hain. For example koi screen 60 Hz par par work karte hain hain that mean woh screen 1 second mein 60 bar refresh hogi.
What is Aspect Ratio ?
Number of horizontal pixels x numbers of vertical pixel ke ratio ko Screen ka Aspect Ratio kaha jata hain. For example 1024 x 768 resulation mein 4:3 aspect ratio hain. There are 3 most using and most popular aspect ratio hain:-
4:3 Aspect Ratio: Kahi - kahi iss ko Classic Aspect ratio bhi kaha jata hain. Yeah aspect ratio ab use nahi kiya jata hain. Yeah bhot purana ho chuka hain. Classic TV aur CRT monitors iss he Aspect ratio par work karte the. Ab iss aspect ratio par koi bhi screen nahi banaye jati hain.
16:9 Aspect Ratio: Isshe WideScreen Aspect Ratio bhi kaha jata hain. 2009 se yeah aspect ratio most common ratio hain jo TV's aur moniter ke liye use hota hain. Ab yeah Aspect ratio international standard aspect ratio ban gaya hain. Yeah aspect ratio sabse jyada important hain iss liye iss ke bare mein knowledge hona bhot jaroori hain Iss he karan Maine puri post iss he ke liye likhe hain. Aap niche isske sare resolution ke bare mein bhi dekh sakte hain.
21:9 Aspect Ratio: Iss aspect ratio ko UltraWide Aspect Ratio bhi kaha jata hain. Iss ratio ke moniter wide hote hain isliye mostly cases mein inhe curved banaya jata hain. Iss aspect ratio ki screens ka use gaming, video editing purpose ke liye kiya jata hain.
Most Popular Resolution of 16:9 Aspect Ratio :-
Ab jab Maine almost sabhe screen terms ko explain kar diya hain toh ab kuch Most popular resolution ke bare mein bhi jaan late hain. Yeah sabhe resolution 16:9 Aspect ratio ke hain. Yeah Aspect Ratio sabhe ratios mein sabse jyada popular hain. Mobile screens, Youtube videos aur movies etc... sabhe jagah yeah aspect ration use kiya jata hian. Resolution ke name ke liye vertical pixel count ko choose kiya jata hian. Iss aspect ratio ke mostly using resolution hain - 720p, 1080p, 4k aur 8k:-
720p: Iss resolution ko 720p kaha jata hian. Iss ka aur koi name nahi hain. Iss ka horizontal pixel count 1280 aur vertical pixel count 720 hain. Yeah kuch time pehle tak most popular resolution tha.
1440p: Iss resolution mein horizontal pixel count 2560 aur vertical pixel count 1440 hota hain. Yeah resolution 720p se double hota hain.
HD or Full HD: Iss resolution ke horizontal pixel count 1920 aur vertical pixel count 1080p hain. Iss resolution 1080p bhi kaha jata hain. Aaj ke time mein most of the content HD mein he record kiya jata hain. Aur bade - bade TV channels bhi HD content provide karte hain.
2160p: Iss he resolution ko Ultra HD kaha jata hain. Iss ka horizontal pixel count 3840 aur vertical pixel count 2160 hota hain. Iss resolution ko 4K nahi kaha jata hian kyuki technically 4K ke liye pixel count above 4000 hota hain. Iss mein HD resolution se 4 times jyada pixels hote hain.
4K: Iss resolution mein above 4000 pixels hain isliye ishe he technically 4K kaha jata hain. Iss mein horizontal pixel count 4096 aur vertical pixel count 2304 hain. Most of TV compinies 4K TV banate hain. But 4K content HD ke compare mein bhot kam hain isliye 4K content ko consistently banaya ja raha hain.
5K: Iss resolution mein 5120 horizontal pixels aur 2880 vertical pixels hote hain. Sony Xperia world ka pehla flagship mobile hain jo 5K resolution ke sath aata hian. But iss mobile mein 5040 x 2160 pixels hain.
8K: 8K resolution mein 7680 horizontal pixels aur 4320 vertical pixels hote hain. Yeah approximately 8000 hain. But technically yeah 8000 pixels nahi hain isliye kahi - kahi 8K resolution ke liye 8192 x 4608 pixels ko prefer kiya jata hain. According to internet 8K ke liye 7680 x 4320 pixels ko priority de jati hain.
Other Posts :-
1 Comments
sauna manufacturers
ReplyDeleteWAJA sauna is specialist manufacturer of top quality sauna products. Products include sauna rooms, steam rooms, barrel saunas, wooden hot tubs, and all kinds of sauna accessories.
Post a Comment