What is VPN? How does VPN Works?

What is VPN? How does VPN Works?


Welcome Friends, Iss post pure tarah VPN ke liye based hain Issme aapko VPN ki complete details mil jayage ki VPN kya hai? VPN kaise kam karta hai? Toh sabse pehle baat karte hai full form ki toh VPN ka full form hota hain Virtual Private Network. VPN ko ham apne computer ya mobile me connect kar apne connection ko secure bana sakte hain. Virtual Private Network ke kai terms hain jinke details niche de hue hain:-


What is Network?
Ham apne ghar ka sare electronic device aapas me connect karte hai jaise- computer, mobile, A.C., T.V., Washing machine etc... jo ek network banate hain. In sabse digital devices ka network ko Local Area Network kaha jata hai. LAN network ek limited area mein he kam karta hai jaise- kise building, school, collage, office etc... jab iss network ko internet se jod kar diya jata hain toh yeah Wide Area Network ban jata hain.

What is Virtual Private Network?
Virtual Private Network mein ham kise server se connect ho jate hain. jis ki help se hamara data encrypt ho kar travel karta hain. Isshe karan hamara data safe hota hain aur koi hacker bech me isko decrypt nahi kar pata. 

How does VPN Works?
Jab ham internet se connect hote hain toh hamare device ko 1 IP address assign hota hai aur Isshe ke through hamari request server tak pauchte hai phir result bapas aata hain. Agar ham VPN ko connect kar late hain toh yeah request sabse pehle Hamare ISP ko receive hote hai agar waha se permission mil jate hain toh pehle Virtual Private Server tak jate hain phir hamari request ki hue IP tak pauchta hain Iske bad yeah bapas se VPS phir ISP aur last me hamare device mein aate.
Image by wikipedia

VPN ko use kyu karna chaiyea?
Agar aap kise public wifi ya open network ko use kar rahe hain aur agar network provider koi hacker hota hain tab woh aapka data hack kar sakta hain. Iss se bachne ka liye VPN ka use karna better hoga. kise Collage ya Office mein kai sare website ko block kiya jata hain VPN ka use kar privately sabhe site ko access kiya ja sakta hain.
Royalty Free Image By pexels.com

Kya VPN 100% Private hain?
Yeah baat sahi hain ki VPN ka use kar ke ham apne data ko hacker aur ISP se secure rakh sakte hain. Lakin hamara sara data Virtual Private Network ka server mein records save hote hai ki hamne kya request kare hai. agar ham kabhe bhi ko illegal kam karte hai aur govt. ko pata chal jata hai toh woh VPN Server ko check kar ka pata kar sakte hain ki aur aap tak aasani sa paucha ja sakta hain. Isliye iss ka use sirf apne data aur apni privacy ko safe rakhne ka liye karna chaiyea. Aapko yeah yad rakhna chaiyea ki illegal work hone par Govt. kuch bhi access kar sakte hain.

VPN se Internet Speed Increase Hote hain kya?
Nahi. Yeah 100% galat hain ki VPN se Internet ki speed badti hai. VPN ka use karne se hamara data kai server se ho kar ham tak bapas aata hai aur jitna jyada data travel karaga utni he dar se ham tak pauchanga. Aur agar hamare ISP ne hame 10mbps ki bandwidth provide ki hain aur VPN Server 50mpbs ki speed provide karta hain tab bhi speed 10mbps se jyada nahi ho payage.
Ha VPN ka use karke ham unsabhe website ko access kar sakte hain jo hamare IP address ka liye blocked hain.

Kis tarah ka VPN use karna chaiyea?
Aapko apko device ka according bhot sare VPN mil jayange Free, Paid etc... chrome me plug-in aur firefox me extensions mil jate hain jinko install kar VPN server se connect kiya ja sakta hain. lakin Free VPN shared server par based hote hain jisse aapka data share ho sakta hain. Aur Paid VPN ne aapko Private server diya jata hain isme aapka data jyada safe rehta hain. Agar aap free VPN use karte hain toh kise bhi website par Bank details, username, password etc... fill nahi karna chaiyea Aur paid VPN use karte hain toh aap apni details ko safely store kar sakte hain. 

Other Posts:-






Post a Comment