How to Protect Pen Drive from Virus

How to Protect Pen Drive from Virus

Hi Friends, Agar aap apne pendrive ya kise bhi storage device ko publicly use karte hai jaise Office, Cafe etc... mein toh 90% chance hai ki computer ke virus pen drive mein aa sakte hai. Apni Pen drive ko virus se bachane ke liye aap apni pen drive ko Virus protected bana sakte hai. Iss trick ka use kar aap apni pen drive me kise bhi Virus ko aane se rok sakte hai.

Apni pen drive ko Virus se bachane ke liye yeah steps follow kare:-
Step 1: Sabse pehle apni pen drive mein vo data copy kar le jishe aap apni pen drive me rakhna chate hai.
Step 2: Ab aap Cmd ko open kare aur yeah command type kare:-
diskpart
Iss se Diskpart window open ho jayage. Ab aapko aange ke sare command isme type karne hai.
Step 3: Ab aap yeah command type kare:-
list disk
Step 4: Ab size ki according apni drive ko select kare aur type kare:-
select disk 1
Ab aapki disk select ho jayage.
Step 5: Ab aapko yeah command type karna hai jisse aapki drive protect ho jayage:-
attributes disk set readonly

Ab yeah disk Read only ho chuki hai matlab isme ab koi bhi data write nhi hoga. Ab isme bhe file nahi jayage aur na he delete hogi. Isme file ko rename bhi nhi kiya ja sakta hai. Aur data ko bhi koi edit nahi kar payaga.

Drive ko bapas se Re - writeable banane ke liye aap yeah command type kare:-
attributes disk clear readonly

Aap sare commands ko image me dekh sakte hai aur use kar sakte hai.

Other Posts:-

USB Details: Versions and Connnectors

USB Full Details: Connectors

USB Full Details: Versions



How to Protect Pen Drive from Virus

Post a Comment