USB Full Details: Versions

USB Full Details: Versions


Is post me ham aapko USB ke versions ki details denge. Jo ke har ek Mobile user ko pata hona chaiyea.




USB ke 5 Most popular version Yeh he  :-

  1. USB VERSION 1.0
  2. USB VERSION 1.1
  3. USB VERSION 2.0
  4. USB VERSION 3.0
  5. USB VERSION 3.1


USB Details: Versions and Connectors


USB  Version  1.0 :-

USB Version 1.0 ko  January 1996 me Introduced kiya gaya tha, yeh USB ka pehla version tha. Iski Speed kafi Low speed the, toh bhi yeh 1996 me bhot high speed dane bala Interface tha. Iske  speed 1.5 Mega Bits per second the jo ke  Mega Bytes  me 0.1875 Mega Bytes per second Speed the. Us time per ye speed us time ke file sharing ke liye kafi aachi the par kuch he samay bad USB ko update karna pada aur USB version 1.0 ko “Low Speed USB” kaha jane laga.

USB Version 1.1 :-

USB Version 1.1 ko August 1998 me Introduced kiya gaya tha , yeh USB ka second version tha. Iske Speed USB version 1.0 ke comparison me bhot he aachi the isliye is ko “High Speed USB” kaha jane laga. Iske Maximum speed 12 Mega Bits per second the jo ke 1.5625 Mega Bytes hota he. Yeh Speed us time ke liye bhot he jayda the kyu ki us time par Media file aur Games etc… nhi hote the.

USB Version 2.0 :-

USB ke Is version ko April 2000 me Launch kiya gaya tha aur ye Itna Advanced Version tha ke launch hone ke bad agle 8 sal tak hame USB ko update karne ki jaroorat nhi hue. Aur yeh Itna popular huya ki aaj bhi bhot se Mobiles me Iska he use kiya jata he. Iske Maximum Speed 480 Mega Bits per second the jo ke 60 Mega Bytes per Second ke speed se file transfer kar sakte the.  Aur yeh version 2.5 Watt tak ka current supply kar sakte he. Aur USB version 2.0 support karne wale USB port ka colour black hota he. Iske speed ke karna isko “High Speed USB” bola jata he. Aur yeh Most popular USB version he.


USB Details: Versions and Connectors

USB Version 3.0 :-

Jab USB version 2.0 ki speed aur power supply rate kam padne lagi toh November 2008 me USB ka naya version USB Version 3.0 launch kiya gaya. Yeh version 2.0 se 10X jayda Data transfer rate provide kar raha tha. Iske Maximum Speed 5 Giga Bits per second the jo ke MB me 640 Mega Bytes per second hota he. USB version 3.0 ko support karne wale USB ports ka colour Blue hota he aur connector me 9 pins hote he. Aur yeh 4.5 Watt tak ka current supply kar sakta tha. Isliye isko “Super Speed USB” bhi kaha jata he sath he isko USB 3.1 Gen 1 kaha jata he.

USB Version 3.1 :-

USB version 3.1 pechle version ka updated version he jo ke pechle version se 2X jayda data transfer rate provide karta he. Isko July 2013 ko Introduced kiya gaya tha. Iske sabse aachi baat yeh he ki Yeh version upto 100 watt tak ki power supply kar pata he. Aur Maximum Data transfer rate 10 Giga Bits per second he, jo ke Mega Byte me 1280 Mega Bytes per second hota he. Isko bhi support karne bale USB port ka colour Blue hota he aur Is me bhi 18 pins hote he. Aur Isko “Super Speed 2” ya “Super Speed Plus” bola jata he. Aur kabhi kabhi Isko USB 3.1 Gen 2 bhi kaha jata he.

Other Posts :-

USB Full Details: Connectors

USB Full Details: Versions and Connectors

What is E - Commerce ?

Full Forms of Technologies



Post a Comment