USB Full Details: Connectors

USB Full Details: Connectors


Is post me ham aapko USB connector ki details dange jaise USB connector Types, Micro aur Mini USB me difference etc…

USB Connectors ko 3 Categories me devide kiya gaya he :-

  1. USB Type A
  2. USB Type B
  3. USB Type C

USB Type A aur USB Type B ki 2 – 2 Sub - Categories bhi he :-

  1. USB Type A
    • MICRO USB Type A
    • MINI USB Type A
  2. USB Type B
    • MICRO USB Type B
    • MINI USB Type B

USB Full Details: Versions

Connector's Information


USB Type A:-
USB Type A Connector USB ka first Connector tha. Yeh abhi tak ka sabse Popular Connector he jo ke aaj bhi hame Mobile Chargers, Computer Ports etc… me dekhne ko milta he. Jo Cable Super Speed Support karte he us me 9 pins hote he. Aur Normal Cable me 4 Pins hote he jo ke Power Supply aur Data Transfer dono me Help karti he.
Isme 4 Pins alag – alag kam key liye use hote he:-

VCC = Colour - Red, 5 Volts Supply
D-   = Colour - White, Data - Signal line 
D+  = Colour - Green, Data + Signal line
Ground = Colour - Black, Ground Supply

MICRO USB Type A:-
Yeh Type A ka Micro Version he. Is me 5 pins hote he. Aur yeh Type A se choota hota ha. Is Connector ko 4 January 2007 ko announced kiya gaya tha. Yeh Connector ab kahi bhi use nhi hota he.

MINI USB Type A:-
Yeh Type A Connector ka Mini Version he. Is me bhi 5 pins hote he. Yeh Connector Ab use nhi kiya jata he Yeh sirf Digital Cameras, PDAs, aur Old Mobiles Phones me bhot kam use kiya jata he.


USB Type B:-
Is Connector me bhi 4 Pins hote he. Aur Jo Cable Super Speed Support karte he us me 9 pins hote he. Aur yeh Printers, Modem, Arduino jaise Devices ke liye Use kiya jata he.Isme 4 Pins alag – alag kam key liye use hote he:-

VCC = Colour - Red, 5 Volts Supply
D-   = Colour - White, Data - Signal line 
D+  = Colour - Green, Data + Signal line
Ground = Colour - Black, Ground Supply

MICRO USB Type B:-
Micro USB type B ko 4 January 2007 me ko announced kiya gaya tha. Aur yeh itna popular huye ki aaj bhi Mobiles ke liye iska use kiya jata he. Is me 5 pins hote he jo ke Data Transfer ko fast banate he.

MICRO Super Speed USB Type B:-
Is me total 10 pins hote he. Jo key 5-5 pins me divide hote he. Is Connector me 2 Connector ek sath join hote jis se Data Transfer aur Power Supply Fast hota he.

MINI USB Type B:-
Yeh Connector aaj ke samay me bilkul bhi use nhi kiya jata he.


USB Type C:-
USB Type C ko August 2014 ko Introduce kiya gaya tha. Yeh USB ka latest connector he. Jo ke bhot he Popular hota ja raha he. Is Connector me 24 Pins hote he jo ke karan Data Transfer bhot he Fast hota he. Yeh USB Connector ka pehla Reversible Connector he. USB Type C Audio aur Video dono Standards support karta he. Aur Is Connector se ham 100 Watt tak ka current supply kar sakte he matlab ham Ek he cable se Bhot sare Devices ko Power Provide kar sakte he.

Post a Comment