How to Change keyboard Language of Our Computer

How to Change keyboard Language of Our Computer


Hi Friends, Aap apne computer mein input dane ke liye keyboard ka use karte hain aur yeah by default English language mein hein input accept karta hain. Lakin agar aapko koi Office ya personal kaam karte hain jis mein aapko kise aur language mein work karna hain. Toh aap kise bhi language ka use kar sakte hain. Iss ke liye pehle apni setting mein kuch changes karna hoga.
 Iss post mein Mein aapko batayange ki aap kaise apni setting se kise bhi language ko as a keyboard input language set kar sakte hain. e.g. Main Hindi ko as a keyboard input language ke liye set karunga. Aap ishe tarah kise bhi language ko set kar sakte hain. Bas kuch steps ko follow karna hoga. Sabhi steps ke screenshots bhi aap dekh sakte hain :-
Step 1: Apna Computer ki Setting ko open kare.

Step 2: "Time & Language" setting ko open kare.
Step 3: Side menu se "Language" option ko select kare.

Step 4: Iss ke bad Preferred Language ke andar "Add a preferred language" button par click kare.
Step 5: Yeaha par aap search box mein type kar language ko search kar sakte hain.
Step 6: Language ko search karne ke bad iss ko select kare.

Step 7: "Install language pack" checkbox ko select kar le. Aur features checkbox ko bhi select kar sakte hain apni requirement ki according.
Step 8: Aur last mein ab Install par click kar de.

Ab Hindi language mere PC mein install ho jaye hain. Iss he process se aap kise bhi language ko apne computer mein install kar payange. Install hone ke bad yeah languages Task bar mein show hone lange hain. Jis bhi language mein aap type karna chate hain us language mein switch kar sakte hain. jaise kei aap screenshoot mein dekh sakte hain. 
Yeah post agar aapko helpful lagi ho toh apne friends ko share kare. 

Other Posts :-




Post a Comment