Good Looking Custom Task Bar with Nexus

How to Make Good Looking Custom Task Bar



Welcome Friends, Iss post me ham Nexus Software ka usages batayange. Yeah Software ek aisa software hai jo Custom task bar provide karta hai. Iss task bar ko ham customise kar apne according bana sakte hai. Aapko apne computer mein isko jaror install karna chaiyea. Download link niche de hue hai.

Advantages of Nexus:-
1. Iss Software ka sath bhot se Pre-install gadget milte hai.
2. Iss ki size aur position ko set kar sakte hai.
3. Icons, Themes, Sound etc... ko change kar sakte hai.
4. Effects ko use kar sakte hai.

Position Set kaise kare:-
Position set karne ke liye sabse pehle Nexus Icon par click kare. Ribbon se Position option par click kare. Aur phir Dropdown menu se Task Bar ki position choose kar apply kare.

Modules ko kaise Customise kare:-
Modules me aapko clock, meters aur bhe bhot kuch use karne ko milte hai. Inhe customise bhe kiya ja sakta hai. jaise aap inke Style aur Icon ko change kar sakte hai.


Task Bar mein new Content Add kaise kare:-
Task bar mein Right click kar "Insert new dock item" option par click kare. Item ki category par click kar Item ko add kar sakte hai. Isshe tarah aap item ko remove bhe kar sakte hai.

Effects ko change kaise kare:-
First of all Ribbon se Effect par click kare. Yeaha se aap Mouseover Effect, Launch Effect, Attention Effect aur Delete Effect ko set kar sakte hai. Other effect mein bhe 4 options hai jinhe aap apni margi se set kar sakte hai.

Auto Hide ka use kaise kare:-
Behavior option ka under Auto Hide option ka use kar sakte hai. Apni requirement ka according isko use kare.

Sound Option ka use Kaise kare:-
Sound Option ko select kare ribbon se. yeaha aap Events ka liya alag alag sound selcet kar sakte hain. Silent period bhe select kar sakte hai. Agar aap sound ko Off chate hai toh "Disable all voices" aur "Disable all sounds" ko tick kare.

Themes ko Change kaise kare:-
Themes option me aapko by bhot sari pre-install themes milti hai jinka use aap kar sakte hai.

General Options:-
Yeaha se aap unwanted things desktop se hide kar sakte hai. Yeaha par Alarm option bhe milta hai. Aur yeaha se Animation ki speed ko bhe manage kar sakte hai.

Download Here


Other Posts:-




Post a Comment