Everything About Rooting Android Mobile
Welcome Friends, Iss artical mein Main Mobie Rooting ke bare mein batayunga. Android rooting ki sari details iss post mein aapko mil jayange. Rooting kya hain, Rooting legal hain kya, Advantages and disadvantages etc... sabhe information aapko isme post mein mil jayange.
What is Root ?
Aap ne kabhe na kabhe yeah toh jaroor suna hoga ki root karne se ham apne android mobile ko update kar sakte hain, battery performance aachi kar sakte hain, Clock speed bada sakte hain, Pre-install Bloatware apps ko remove kar sakte hian. Yeah baat sach hain ki ham apne mobile mein in sabhe function ko enable kar sakte hain. That means ham apne mobile ke Superuser ban jate hain aur ham apne mobile mein jo bhi customisation kar sakte hain. Hame apne system ki root access mil jati hain aur ham kise bhi tarah ke changes apne Operating System mein kar sakte hain.
Is Rooting is Legal ?
Iss baat ko clearly nahi kaha ja sakta hain ki root legal hain ya phir illegal hain kyuki bhot sare terms hain jaha root illegal mana jata hain. Lakin rooting ke bhot sare benefits bhi hain jis se isshe legal mana jata hain. America mein Mobile root karna puri tarah se Legal hain. Lakin mobile company iss baat se agree nahi karti hain.
Kya iss se Warranty khatm ho jati hain :-
Ha most of the mobile company ke terms & condition ke according mobile ko root karne se warranty khatm ho jati hain. but why? Kyuki mobile companies hame jo hardware aur software install karke mobile deti hain mobile root karne ke bad mobile software mein changes ho jate hain. Isliye iss case mein companies iss damage ko cover nahi karte hain. Aur warranty end ho jati hain.
Advantages of Rooting :-
Better Gaming Performance: Ham apne mobile ki clock speed ko bad sakte hain jis se hame aachi gaming performance dekhne ko milte hain.
Boot Animation Change: Mobile booting ke time jo animation show hota hain usko bhi change kiya ja sakta hain.
Increase Battery Life: Apni mobile ki unwanted apps aur background processing ko stop kar battery ki life increase kar sakte hain.
Remove Pre-install Apps: Android mobile mein jo pre-install bloatware aap install hote hain unhe bhi install kiya ja sakta hain.
Backup: Back-up and Restore service ko aachi tarah se use kar sakte hain. Root karne ke bad apne mobile ke data ko easily method se sara data ka back-up liya ja sakta hain.
Update Android Version: Mobile launch ke kuch din bad he companies updates dana band kar dati hain. Lakin agar aap apne mobile ko latest version mein update karna chate hain toh root karne ke bad yeah bhi kiya ja sakta hain.
Custom ROM: Root ka sabse bada advantage hain ki ham custom ROM bhi install kar sakte hain. matlab apne OS ko change kar sakte hain.
Change Interface & Settings: Root permissions access karne se apne mobile mein launcher, fonts, graphics etc... sabhe setting ko change kiya ja sakta hain.
Disadvantages of Rooting :-
No More Updates: Mostly cases mein root karna manufacturer ki terms & conditions ko over take kar hain. Jis se manufacturer support band kar deti hain.
Breach Security: By default mobile mein jo security settings hoti hain woh change ho jane ke karan security breach hone ka risk jayda ho jata hain. Iss se bachne ke liye ek aacha antivirus ka use karna chaiyea.
Risk of Rooting: Sabse bade problem mobile ko root karne mein hoti hain. Mobile root karte time agar koi mistake ho jati hain toh hamare mobile ka code damage ho jata hain aur mobile puri tarah se band ho jata hain. Isliye root karte time iss baat ka dhyan rakhna chaiye ki mobile sahi tarah se root ho.
Other Posts :-
Post a Comment
Post a Comment