What is Computer Storage Devices ?

What is Computer Storage Devices ?


Welcome Friends, Iss post mein Main aapko computer Storage devices ka brief introduction dunga jis se aap mostly sabhe storage devices ko aasani samaj payage.  Sabhe Storage devices ki complete details aapko future posts mein mil jayange.

What is Storage Devices ?
Storage devices computer ke hardware hote hain jo information ya data ko temporarily ya permanently store karte hain. Yeah devices computer mein external aur internal and server based ho sakte hain. Inhe digital storage, storage media, storage medium etc... bhi kaha jata hain. Computer mein storage devices 2 types ke hote hain :-
  • Primary Storage Devices
  • Secondary Storage Devices

What is Primary Storage ?
Primary storage devices physically size mein chooti hoti hain. Yeah computer ke andar use ki jati hain. Primary storage devices, data ko bhot bhot he fast access kar sakta hain. Inhe data ko temporary period mein store aur hold karne ke liye banaya jata hain. Primary storage devices ko 'Primary Memory' bhi kaha jata hain. Yeah volatile storage hote hain jo power lose hone par ya coomputer reboot hone par data erase kar dete hain. Primary storage ke common examples hain - RAM, ROM, Cache Memory etc...
Royalty Free Image By pexels.com

What is Secondary Storage ?
Secondary Storage devices, data ko large ammount mein store kar sakte hain. Iss storage mein data ko permanentaly store kiya ja sakta hain. Yeah computer mein externaly aur internaly dono jagah ho sakte hain. Yeah non-volatile memory hote hain that means power na hone par bhi issme data safely stored rehta hain. Inhe 'External Memory' bhi kaha jata hain. Yeah storage devices bhot he slow hote hain compare to primary storage devices. In devices ko CPU  se directily access nahi kiya ja sakta. Hard-drive, Optical storage, Flash Memory devices etc... sabse jyada use hone bale secondary storage devices hain. 

Difference between Primary Storage and Secondary Storage :-

Speed: Primary Storage se CPU directly data ko access kar sakta hain. Isliye yeah process bhot he fast hote hain. But Secondary storage long term storage hain aur data large amount mein hota hain isliye isske speed bhot he slow hote hain.

Storage: Primary storage ko computer ki main memory bhi kaha jata hain jo ke RAM hain. Primary memory ki storage capacity bhot kam hote hain. For example - 4GB, 8GB,12GB etc...

Access: Primary storage Processing unit ki help se ramdomly kise bhi data ko access kar satkta hain. Secondary storage devices directily kise bhi data ko access nahi kar sakte.

Cost: Primary storage devices aur secondary storage devices ko price aur specification ke base par ek sath compare nahi kiya ja sakta hain. But generally primary storage devices costly hote hain compare to secondary storage devices.
Royalty Free Image By pexels.com

Computer Data Units :-

Bit: Bit computer ki sabse chooti unit hoti hain. 1 Bit mein sirf 1 ya phir 0 hota hain.

Nibble: 4 Bits milkar ek Nibble bante hain.

Byte: Jab 8 Bits mil jate hain toh 1 Byte banta hain.

Kilobyte: Kilobyte ko short mein KB bola jata hian. 1 Kilobyte mein 1024 Bytes hota hain.

Megabyte: Megabyte ko short mein MB kaha jata hain. 1 MB mein 1024 Kilobytes aur 1,048,576 Bytes hote hain.

Gigabyte: Gigabyte ka short form GB hain. 1 GB mein 1024 MB aur 1,073,741,576 Bytes hote hain.

Terabyte: Terabyte ko short mein TB kaha jata hain. 1 TB mein 1024 GB aur 1,048,576 MB aur 1,099,511,627,776 Bytes hote hain.

Other Posts :-






Post a Comment