47 More Chinese Apps Banned | PUBG Ban ?

Welcome friends, after a long time yeah post mein publish kar raha hoon. Yeah post Tech news se related hogi. Ab se Main iss blog par tech news bhi post karunga. Jis ke liye alag se category hogi. Aap kise bhi news ko detailed mein janne ke liye comment kar ke hame bata sakte hain. Jis ke bad Main us news ka complete matter aapke sath share karunga.


Agar aap PUBG player hain toh sayad aapke liye yeah news thodi sad ho sakti hain. Aapko yad hoga last month (June) mein Indian government ne 59 chinese app ko ban kiya tha. Jis mein bhot he popular aaps bhi shamil bhi the like - Tik Tok, Share it, UC Browser etc... 


Government ne in apps ko chinese government ke sath data share karne ke karna ban kiya tha. Jis ke bad se yeah play store se remove kar de gaye aur sath he installed application bhi nhi chal rahi the. Government ne sabhe banned apps ko strict warning bhe de hain ki agar kise bhi tarah se yeah app India me use hote hain toh inke opposite action liya jayaga.

47 Chinese Apps Banned :-
59 Apps ko ban karne ke bad unke alternatives aur lite versions ka jyada use hone laga tha jo ki chinese hain. In Applications ko bhi data leak karne ki wajah se Indian Government ne ban kar diya hain. Inme clone aur lite version shamil hain. Kuch sources se pata chala hain ki government ne approx 200 chinese apps ki list banaye hain. In sabhe 200 app ko review karne ke bad inme se kise bhi aap ko government ban kar sakte hain.

Kya PUBG bhi Ban Ho Gaya :-
Nahi, but kuch rumors ke according 200 apps ki list mein Tencent ki sabhe apps ka name hain. Thats mean Abhi PUBG legely har mobile me easily run ho jayaga. Lakin agar review karne ke bad kuch illegal mila toh baki sabhe apps ki tarah PUBG bhi shayad ban ho sakta hain. 

Other Posts :-




Post a Comment