How to make 2D and 3D Intro for Free

How to make 2D and 3D Intro for Free


Welcome Friends, Agar aap apna ek Intro banana chate hai toh Iss Post mein ham batayange ki aap bina kise software ka kaise bhot he easy method ka use karke intro bana sakte hai. Iss ke liye aapko sirf Internet aur Browser chaiye hoga phir aap sirt name type kar apna Intro bana sakte hai. Next post mein ham batayange ki Mobile ka use karke 2D Intro kaise banate hai.
Iss website ka use 2D aur 3D Intro create karne ke liye kiya jata hai. Issme intro create karne ke liye bhot sari template de hoti hai aapko ja bhe aachi lage aap ushe use kar sakte hai. Iss site ka use background aur Video Editing ke liye bhe hota hai. Intro create karne ke liye aap yeah steps follow kar sakte hai.

Click here to go on Panzoid

Step 1: Sabse pehle clipmaker ko open kare.
Step 2: Yeaha se aapko jo bhe template aachi lagti hai ushe open kar le.
Step 3: Ab aap menu se "Objects" par click kare.
Step 4: Yeah aap Text ko apne according change kar le.
Step 5: Download mein ja kar "Start video render" par click kar aap intro ko download kar sakte hai.

Basics Settings:-
Basic Setting me ja kar aap video resolution ko set kar video quality ko enhance kar payange. Yeaha appko 240p se 4K tak ki quality provide ki jati hai. Frame rate aur video ki length ko bhe manage kar sakte hai.

Scene:-
Scene me aap Intro ka scenes ko change kar payange jaise - Outdoor, Blocks, Darkness etc...

FX:-
Yeah option tab useful hota hai jab aap apne intro me extra effects ka use karna chate hai. yeaha aapko bhot sare option milte hai jinka use aap effects dalne mein kar payange.

Camera:-
Camera option ka use video ki position aur rotation set karne ke liye hota hai. Yeaha se aap video ki shake speed ko bhe manage kar payange. but ham aapko recommend karte hai ki aap isske default settings ko change nhi kare.

Audio + Music:-
Yeaha se aap video me custom audio insert kar sakte hai aur volume mode ko set kar payange. 




Post a Comment